Saturday 14 March 2015

Numan Ijaz  Say Mulaqat
Numan Ijaz aik aisa naam jo kisi bi serail aor telefilm k kamyabi k zamanat hai. verstayal fankar jo aik arsa guzar jany ky baad bhi nazreen mei isi trah maqbool haien jis trah pehly thy.
aaj aap inhaien kai series mei deakh rahy haien aur sub mei in ka kirdar muktalif aur munfarid hai aur yeh he sachy fankar k pehchan hai ky wo hamesha iss baat ka khyal rakta hai ky apny kirdaro mei tnawa dy.
"kaisy haien noman ijaz sahb?"
"ALHAMDULILLAH"
"aap aik behtreen fankar haien. drama"mera saien" jo chaly to jaha sy guzar gy,ik nazar meri taraf jal pari aur digar bht sy dramo mei aap k adakari munfarid nzar ai. kia adakari aap ka khwab tha?
nahi hr giz nahi!mera khwab to doctor banna tha.magr aisa na ho saka aur adakar bun gia. waisy carrier ka agaz mei ny waqalat sy kia tha. mei ny punjab university sy LLB k degree hasil k the. aik dedh saal iss pesy sy wabasta raha'phr showbiz k masroofiyat k waja issy jari na rakh saka aur waqalat ko khirbad keh dia.
"waisy iss field mei aa kr hr trah ky roll kr ky kch taskeen to hwi ho g?"
"g bilkul! aap theek keh rahi haien. waqai mei ny iss field mei aa kr itny roll ky haien ky ab yeh hasrat nahi hai ky mjhy yeh karna chaiey ya wo karna chaiey."

"aap ka khwab doctor banna tha' bun na saka.phr waqalat mei ay.mag showbiz k masroofiyat k waja sy chor di. aakhir aao showbiz mei ay kaisy? kiss ny aap ko yeh rasta dikaya?"
"aisa nahi hai ky mujhy showbiz mei aany ka shoq nahi tha. showbiz mei aany ka shoq tha.magr adakar banny ka shoq nahi tha. mei ptv peh news caster ko khabrien prhta hwa deakhta tha mera dill chata tha ky mei b khabrien parho.
chunacha inter ka imtehan pass karny ky baad mei ptv gia aur news caster ky ly audition dia.lekin kamyab na ho saka.yeh 1985 k baat hai. aisa nahi tha ky mei ny news achi nahi prhi theien,balky yeh kaha gia ky tm abhi kam umer ho.1987 mei jb dubara iss kaam ky ly gia to itafaq sy nusratthakur sahb sy mulaqat ho gai.unho ny kaha ky 'tm adakari k field mei q nahi aa jaty.mjhy tm mei talent nazar ata hai. "aur phr unho ny he mjhy apny dramy "din" mei cast kr lia.yeh mera pehla drama tha. iss mei un mko meri peformance itni pasand ai.y unho ny mjhy apny chaar dramo mei buk kr lia.bus iss trah mei iss field mei aa gia."
"goya insaan ko dunya mei b wohi milta hai jo uss ky naseeb mei likha hota hai. aap manty haien iss baat ko?'
g blkul! manta hu ku ky bachpan sy mera khwab doctor banny ka tha. lekin mei wo kch bun gia jis ky bary mei mei ny kbi socha b nahi tha.iss field mei aany ka sochta b tha to yehi ky newscaster bano ga. mgr aisa b nahi hwa,to sach to yeh hai ky insaan ky ikhtyaar mei kch b nahi hai. chahy wo kitna he zor laga ly ky issy yehi banna hai. behr hall mei khush hu apni lyk mei. 
"iss field mei kia tajarbaat hasil hwy?"
yeh na pochaien ky kia tajarbaat hwy.bht bury tajarbat b hwy aur bht achy b lekin aik tajzeea bht gehri nazar sy mei ny kia kay es field main mukhlas 'eeman dar aor dosru kay liye acha sochnye walu ki tadad atay main namak kay barabar hai.zaiyda tar log es field main mufad parast hain.dosru ki ghibat karna'dosru ko necha daikhna  aor dosru ki raah rukawat dalna'ye sub kuch es field main hota hai.munafaqat aor jhot bhut hai es field main.
"es liye aap nay life partner kay liye showbiz ka intakhab nahi kiya"?
"kuch aisi hi baat hai.lakin es main koi amal dakhal nahi hai.meri kismat main shoebiz ki larki nahi the aor wahi baat kay Allah jo krta hai "bahtar karta hai".
"magar showbiz kay kahe log hain jo bhut khush gawaar wa khush haal zingadi ghuzar rahy hain."
be shuk bhut say joray kamyab zindgi ghuzar rahy hain.baat pher wahi pay  aakay ruk jati hai kay jo naseeeb main hota hai 'wahi milta hai.agr meray nasseb main showbiz ki larki hoti tu mujay zaror milti."
  

0 comments:

Post a Comment